
Ek din aap hamari zindagi main chale aaye... jis din aap aaye hamein yeh bilkul andaaza nahin tha ki aap hamari zindagi ka sabse eham hissa ban jaoge... aap hamari zindagi main itna pyaar leke aaoge... itni khushiyaan lekar aaoge is baat ka hamein zara sa bhi ilm nahin tha...
Aapke aane se pehle hamari zindagi itni viraan thi... har pal ek ajeeb se khaalipan ka ehsaas tha... aisa lagta tha ki hamara shareer to yahaan hain.... lekin shaayaad isme bhagwaan jaan dalna bhul gaya... aur phir aap aaye aur hamein ek ajeeb si khushi ka ehsaas hua... ab hamein apne aap main woh khaalipan nahin dikhta... woh khaalipan to jaise gum gaya hain... aur to aur hamare is shareer main to ab itni jaan aa gayi hain ki hum isko lafzon main bayaan nahin kar sakte...
Hum apne zindagi se judey har insaan ko ek rang maante hain... aur hamein ek baat jataane main bahut khushi milti hain... aap hamare zindagi ka sabse khoobsoorat aur sabse haseen rang ho... Aaapke naam ke is rang ke samne to baaki sab rang pheeke pad gaye...
Indra dhanush main to shaayad saat rang hote hain... aur har rang ek se badkar ek hota hain... lekin mere jeevan main to ek hi rang hain... aur woh rang ho aap... Aapke naam ka rang itna khaas itna dil behlane waala hain... ki hum to isme doob hi gaye... aur hum isi rang main hamesha ke liye doobe rehna chahte hain...
Hum nahin jaante hain ki humne zindagi main koi ache kaam kiye hain bhi ya nahin... lekin aapko hamari zindagi main paakar hum yeh maanne lage hain ki shaayad koi ek aisa bahut acha kaam hain jo hamne kiya hain... aur us ache kaam ke liye bhagwaan ne aapko hamein tofe main diya hain... aap to hamare zindagi ke saare sawaalon ka jawaab bankar aaye ho...
Aapke saat beeta hua aur bitaane waala har pal hamare liye utna hi khaas hain jitne khaas aap hamare liye ho... aap se judi har cheez utni hi ehmiyat rakhti hain jitna ki aap... aapka hamara rishta duniya ka sabse khaas rishta hain... isme itna pyaar, itni ishq, itni mohabbat hain ki isko jeene ke liye kai janam kam pad jaayenge... hum bhagwaan se roz yehi dua karte hain ki woh har janam main aap hi ko mera humsafar baanaye...
Hamare aapke is pyaar ko kabhi kisi ki nazar na lage... aur yeh pyaar janam janam tak bana rahe... hum to yahi maante hain ki bhagwaan ka aashirwaad is rishte par hamesha se tha, hain aur rahega... aapki mere kahaani to bhagwaan ne khud apne haathon se likhi aur sajaayi hain... aur is kahaani ka naam rakha hain “RAB NE BANA DI JODI”

No comments:
Post a Comment